Virtual Private Network (VPN) - rabte ka aik esa zariya jo ke aik Server ko securely internet ke zariye aik dosre corporate network se connect hota hai . Windows NT, 2000 aur XP main VPN support mojod hai. VPNs ko aksar Offices ko connect karne ke liye use kiya jata hai, fraz karen jese aik University hai us ke Mukhtalif jgahon par Campus hain jo ke poure Province ya Pouri Contry main phehle hue hain ab zahiree baat hai un sab ko alag Wires ya Cabels ke zariye connect karne par buhat karcha hoga is liye har Campus main Internet ki facility de kar ham un sab se Campus ko University ki "Main branch"ya sab ko apas main connect kiya ja sakta hai. jis se Campus men mojood user Main University se connect ho kar whan ke Resources istamaal kar sakta hai.
No comments:
Post a Comment