Lahore: Telecom Operaters ki janib se sarfeen ki dobara tasdeeq ke liye 28 din ki sarkari deadline par amal na karne par hadsha he ke bari tadad ma Prepaid mobilephone sarfin ke connection band ho jyen ge.
Telecom companyke logon ne btaya keTelecom Operatersne dobara tasdeeq ka amal pora krne ke lye mazeed 6 month ka waqt manga he.
Operaterska kehna he ke dosri sorat ma wo Prepaidsims block krne par majboor hon ge .
Pakistan ma 14 crore sims ma se srf 10% postpaidsims hen.
Minister of Interior Ch Nisar ali khan ne peshawer attack ma terrorists ki janib se contact ke lye BioMetric tasdeq shuda sims istemaal hone ke bad 28 din ki deadline muqarar ki the.
Mobilink, Ufone, Telenor, Warid, Zong ke namaindon ne is masle ka hal nikalne ke liye Minister of Interior Chaudry Nisar Ali Khan , Minister of State for IT ,aur Telecom Anusha Rehman aur Telecommunication Authority ke Presedent Dr Ismail Shah se mulaqat be ki the.
Aik bari mobile phone company ke Officer ne Media ko btaya ke itne short time ma 1 crore sims ki tasdeq na hone ke hawale seGovernmentko btyen ge aur hum is maqsad ke lye mazeed waqt mangaygy.Inhonne btaya ke aik month ke lye sims band hone se Awaam sb se ziada mutasir ho ge.
MutasireenPostpaidsims hasil krne ke lyeCustomer Sales Center,Franchise, aurRetailerski janib doreen ge . PTAne illegal sims ke sales rokne ke lye aik saal pehleBiametricnizam mutarif krwaya tha.
Cellular Company ke apneCustomer sale center , Franchises,aurRetailerske pass is nizaam ko thek krne ke bawajood be illegal sims ke sale ki shikayat mojood hen.
Lakin Companieskehti hen keBioMetricnizam shuru hone ke bad illegal sims ke sales kise sorat mumkin nh ho rhe .
Telecom Agency ke aik mahirShoaib Sheikh ne btaya ke Security ke lihaz seBiometricnizam se pehle aur baad ma koi farq nah . Pehle terroristsUnRegisterdsims use krte the aur ab woRegistersims use krte hen .
Shoaib sheikh ke mutabiq kise khaas moqay par mobile service band krne ya phir terrorism ke har waqye ki zimadari Telecom Companies par dalne ki bajayeGovernmentko chiye ke woOperaterske sath beth kr is masle ka mustiqal hal nikale.
Telenor ke Cheif Corporate officer Muhammad Aslam Hayat ke mutabiq un registeredsims jaise koi chez wajood nah rakhti.
Har mobileOperaterke pass godaam se le karReatailsataah parSubscriptionse pehle sims ki sales ka pora Record mojood hota he aurPolicieske tehat Mobile Operater ke pass sale hone wali har sim ka complete data hota he lkn is sab ke bawajood ye nizam full proof nahi.
No comments:
Post a Comment